Thursday, 24 March 2016

Khuda

Khuda khud mei hai, mujhme hai, sabme hai aey ahmak,
Usse kho dena kabhi mumkin nahi!

**********

Arsh ya zameen pe sirf hai nahi khuda,
Khuda qaiyinaat ki har tasveer mai hai!

***********

Khuda tera, mera nahi aey dost,
Hum sab khuda k hai!

************

Khuda ik noor hai, in chiragon k liye,
Khuda se wabastagi ek hunar hi sahi!

*************

Arsh ko Khuda ka ghar na samajh,
Khuda hamare dil mein hai,
Wo hukumat mei, wo aqeedat mei,
Wo hamare har manzil mei hai!
Wo raasta, wo caravan, wo ibaadat,
har mushkil mei hai.

Bola iss nacheez ne Khuda ki shirkat ka jab,
Matlab jaan le aey dost, wo deen ki daulat main hai!
Tauheed se hote hain hum Khuda aur Rasool(SAW) se aashina,
Magar, niyaat se milta hai hamari nasil ko har hausla,
Tasveerein, mujaseme ki mei nahi ibaadat karun,
Khuda ki bakshi taufeeq ne banayi hain har cheez yuhi!
Quran kitaab nahi, Khuda ka farmaan hai,
Khuda dil mein tere aur mere hai,
Kyunki hum sab musalmaan hai!
Meri hasrat galat nahi, teri niyat galat nahi,
Khuda hamare jazbe mei, ilam mai, taaqat mai hai..
Khuda ko tu Arsh pe bitha kar khud se dur na kar,
Khud aankhein bandh kar, apne dil mei mehsoos kar!
Khuda hamari sans mei, khuda hamari ruh mei hai!

Tanzila

No comments:

Post a Comment